ShayariInfinity.com

A House of Quotes & Shayari


Life Shayari

हर किसी को जिंदगी दो तरीके से जीना चाहिये,
पहला जो हासिल है उसे पसन्द करना सीख लो,
और दूसरा पसन्द है उसे हासिल करना सीख लो।

Har Kisi Ko Zindagi Do Tarike Se Jeena Chaahiye,
Pehla Jo Haasil Hai Use Pasand Karna Seekh Lo,
Aur Dusara Jo Pasand Hai Use Haasil Karana Seekh Lo
.


समय जीवन में सब कुछ सिखा देता है,

और जो समय सिखा देता है,

वह जीवन में कोई नही सिखाता है।

Samay Jeevan Mein Sab Kuch Sikha Deta Hai,
Aur Jo Samay Sikha Deta Hai,
Vah Jeevan Mein Koi Nahi Sikhata Hai.

-Life Shayari

Life shayari in hindi


कुछ इस तरह फ़कीर ने ज़िंदगी की मिसाल दी,

मुट्ठी में धूल ली और हवा में उछाल दी।

Kuchh Iss Tarah Faqeer Ne Zindagi Ki Misaal Di,

Mutthi Mein Dhool Li Aur Hawaa Mein Uchhal Di.


थोड़ी मस्ती थोड़ा सा ईमान बचा पाया हूँ,

ये क्या कम है मैं अपनी पहचान बचा पाया हूँ,

कुछ उम्मीदें, कुछ सपने, कुछ महकती यादें,

जीने का मैं इतना ही सामान बचा पाया हूँ।

Thodi Masti Thoda Sa Imaan Bacha Paya Hun,

Yeh Kya Kam Hai Main Apni Pahchaan Bacha Paya Hun,

Kuchh Ummidein, Kuchh Sapne, Kuchh Mahekti Yaadein,

Jeene Ka Main Itna Hi Saaman Bacha Paya Hun.

-Life Shayari

Zindagi sad shayari

छोड़ ये बात कि मिले ज़ख़्म कहाँ से मुझको,

ज़िंदगी इतना बता कितना सफर बाकी है।

Chhod Yeh Baat Ke Mile Zakhm Kahan Se Mujhko,

Zindagi Itna Bata Kitna Safar Baaki Hai.


ज़िन्दगी से पूछिये ये क्या चाहती है,
बस एक आपकी वफ़ा चाहती है,
कितनी मासूम और नादान है ये,
खुद बेवफा है और वफ़ा चाहती है।

Shayari On Zindagi

Zindgi Se Puchhiye Yeh Kya Chahti Hai,

Bas Ek Aapki Wafa Chahti Hai,

Kitni Masoom Aur Nadaan Hai Yeh,

Khud Bewafa Hai Aur Wafa Chahti Hai.

Life Shayari

आँखों में आंसुओं को देखा है मैंने,

हँसते हुए होंठों को देखा है मैंने,

किसी ग़ैर में अपने प्रति अपनापन और,

अपनों में जलन और भेदभाव को देखा है मैंने।

Read More : Motivational Quotes In English

Aankhon Mein Aansuon Ko Dekha Hai Maine,
Hanste Huye Honthon Ko Dekha Hai Maine,
Kisi Gair Mein Apne Prati Apnapan Aur,
Apno Mein Jalan Aur Bhedbhaav Ko Dekha Hai Maine.


Life shayari in hindi

कभी ख़िरद कभी दीवानगी ने लूट लिया,

तरह तरह से हमें ज़िंदगी ने लूट लिया।

Kabhi Khirad Kabhi Deewangi Ne Loot Liya,

Tarah Tarah Se Hamen Zindagi Ne Loot Liya.


नाम के होते हैं सिर्फ बड़े शहर,

मैंने तो ज़िन्दगी छोटे शहर में देखा है,

दस लोगों को छोटे से घर में हंसी से और,

दो लोगों को बंगले में भी उदास सा देखा है।

Naam Ke Hote Hain Sirf Bade Sehar,
Maine To Zindagi Chote Sehar Mein Dekha Hai,
Dus Logon Ko Chote Se Ghar Mein Hansi Se Aur,
Do Logon Ko Bangle Mein Bhi Udaas Sa Dekha Hai.


Zindagi quotes in hindi

हजारों उलझनें राहों में और कोशिशें बेहिसाब,

इसी का नाम है ज़िन्दगी चलते रहिये जनाब।

Hajaron Uljhanen Rahon Mein Aur Koshishen Behisab,

Isi Ka Naam Hai Zindagi Chalte Rahiye Janaab.


फिक्र है सबको खुद को सही साबित करने की,

जैसे ये ज़िंदगी, ज़िंदगी नहीं, कोई इल्जाम है।

Fikr Hai Sabko Khud Ko Sahi Sabit Karne Ki,

Jaise Zindagi, Zindagi Nahi Koi Iljaam Hai.


लेकर आयी है किस मक़ाम पे ये ज़िंदगी मुझे,

महसूस हो रही है ख़ुद अपनी कमी मुझे।

Lekar Aayi Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe,

Mahsoos Ho Rahi Hai Khud Apni Kami Mujhe.


Best shayari on life

दास्ताँ ज़िन्दगी की किसको जाकर सुनाऊं मैं,

बेगानी चाहत को वापस कैसे बुलाऊँ मैं,

गम का समुन्दर बह रहा है आँखों में मेरी,

डूबा जा रहा हूँ इनमे खुद को कैसे बचाऊँ मैं।

Aankhon Mein Aansuon Ko Dekha Hai Maine,
Hanste Huye Honthon Ko Dekha Hai Maine,
Kisi Gair Mein Apne Prati Apnapan Aur,
Apno Mein Jalan Aur Bhedbhaav Ko Dekha Hai Maine.



जिंदगी बहुत खूबसूरत है, जिंदगी से प्यार करो,

अगर हो रात तो, सुबह का इंतजार करो,

वो पल भी आएगा जिसका तुझे इंतेज़ार है,

बस उस खुदा पर भरोसा और वक्त पर ऐतवार करो।

Zindagi shayari in hindi

Zindagi Bahut Khoobasurat Hai, Zindagi Se Pyar Karo,

Agar Ho Raat To, Subah Ka Intajaar Karo,

Wo Pal Bhi Aaega Jiska Tujhe Intezaar Hai,

Bas Us Khuda Par Bharosa Aur Wakt Par Aitavaar Karo.


नहीं सोचा था इतनी अजीब मेरी ज़िन्दगी होगी,

एक ये दर्द ही मेरी सच्ची बन्दगी होगी,

उनसे कितनी मोहब्बत है इसकी खबर सबको हो गयी,

नहीं पता था की बस उन्हें ही इस बात की खबर नहीं होगी।

Nahi Socha Tha Itni Ajeeb Meri Zindagi Hogi,
Ek Ye Dard Hi Meri Sachhi Bandagi Hogi,
Unse Kitni Mohabbat Hai Iski Khabar Sabko Ho Gayi,
Nahi Pta Tha Ki Bas Unhe Hi Is Baat Ki Khabar Nahi Hogi.


ज़िन्दगी सिर्फ मोहब्बत नहीं कुछ और भी है,

ज़ुल्फ़-ओ-रुखसार की जन्नत नहीं कुछ और भी है,

भूख और प्यास की मारी हुई इस दुनिया में,

इश्क ही इक हकीकत नहीं कुछ और भी है।

Zindgi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,

Zulf-o-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,

Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Iss Duniya Mein,

Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.


है अजीब शहर की ज़िंदगी

न सफर रहा न क़याम है

कहीं कारोबार सी दोपहर

कहीं बदमिजाज़ सी शाम है।

Sad Life shayari

Hai Ajeeb Shahar Ki Zindgi

Na Safar Raha Na Qayam Hai,

Kahi Karobaar Si Dophar

Kahi Bad-Mijaz Si Shaam Hai.


प्यार में किसी को खोना भी ज़िन्दगी हैं,

ज़िन्दगी में गमो का होना भी ज़िन्दगी है.

यूँ तो रहती हैं होठों पर मुस्कराहट,

पर चुपके से किसी के लिए रोना भी ज़िन्दगी है।

Pyar Mein Kisi Ko Khona Bhi Zindagi Hain,

Zindagi Me Gamo Ka Hona Bhi Zindagi Hai.

Yun To Rehti Hain Hotho Par Muskurahat,

Par Chupke Se Kisi Ke Liye Rona Bhi Zindagi Hai.


ज़िन्दगी जीने को एक यहाँ ख्वाब मिलता है,
यहाँ हर सवाल का झूठा जवाब मिलता है,
किसे समझे अपना किसे पराया यहाँ पर,
चेहरे पे हर एक के नकाब मिलता है।

I hate my life shayari

Zindagi Jeene Ko Ek Yahan Khwab Milta Hai,
Yahan Har Sawal Ka Jhootha Jawab Milta Hai ,
Kise Samjhe Apna Kise Paraya Yahan Par,
Chehre Pe Har Ek Ke Naqab Milta Hai.


सच बिकता है झूठ बिकता है

बिकती है हर कहानी,

तीनों लोक में फैला है फिर भी

बिकता है बोतल में पानी।

Sach Bikta Hai Jhoothh Bikta Hai

Bikti Hai Har Kahani,

Teeno Lok Mein Faila Hai Phir Bhi

Bikta Hai Botal Mein Paani.


Two Line shayari in hindi on life

नफरत सी होने लगी है इस सफ़र से अब,

ज़िंदगी कहीं तो पहुँचा दे खत्म होने से पहले।

Nafrat Si Hone Lagi Hai Iss Safar Se Ab,

Zindagi Kahin Toh Pahucha De Khatm Hone Se Pehle.


बड़े ही अजीब हैं ये ज़िन्दगी के रास्ते,

अनजाने मोड़ पर कुछ लोग अपने बन जाते हैं,

मिलने की खुशी दें या न दें,

मगर बिछड़ने का गम ज़रूर दे जाते हैं।

Bade Hi Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste,

Anjane Mod Par Kuchh Log Apne Ban Jate Hain,

Milne Ki Khushi Dein Ya Na Dein,

Magar Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hain.


ले दे के अपने पास फ़क़त एक नजर तो है,

क्यूँ देखें ज़िंदगी को किसी की नजर से हम।

Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Najar Toh Hai,

Kyun Dekhein Zindagi Ko Kisi Ki Najar Se Hum.



Don`t copy text!